Sunday, 26 November 2006



" HUM RO NA SAKEY "

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey,khushi Mili To Has Na Sakhey,

Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,Ham Samaj Na Sakhey,

jis ko chaha,Apna Na bana Sakhey...Aap chale Gayen,
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na Sakhey, Par jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sakhey, Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaake Phirthey Hain,Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,

Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,Ham na Samaj Sakhey,
jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhey...
Ab Palko ko Band karke , Pal Mein Apke pass Hote Hein,

Magar jab Ankhon ke Samne Thay, jee Bhar ke Dekh Bhi Na Sakhey,
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha Lekin Ro Na Sakhey,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka, Ham Na Samaj Sakhey,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa Sakhey...
Ab Aap K Saath ke Liyeh
Har Pal Tarapte Hein,Magar jab Aap Tarap Rahey the,
To Saath Na De sakhey, Dil To Rotaa Rahey Par
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!! Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj Sakhey...
Dil itni Chot Khakar Bhi
Aap Hee ko Chhahta kyon Hai, Hum Samaj Na Sakhey,

Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi....
Aap Hamarey Nahin Hein! Ye, Dil ko Samjha Na Sakhey, Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...
Aap Humein Bhool Gaey,
Magar Hum Na Bhoola Sakhey.. Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey,
Waise Aap Hamare Na Ho Sakthey,Aur.....Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe...
My shayri……………..


***************************************

my shayri's

my shyari's :--

kitane aansoo chupata hai koiis duniya ko dilhane ke liye
itani himmat knha se lata hai koiek pal muskrane ke liye
is chalti hui bheed mein kho jata haiapani tanhai mitane ke liyekoi
na dekhale in aankho ka dardisi koshish mein nazare churata hai koiy
adein kar deti hain mayus useapani yadon se har pal door jata hai koi
phir bhi har manzilajnabee jana pehchana mil jata hai koi ..........


********************************************************************

Zindgi wo shaam hai..jo mili bhi nahi, kahi khoi bhi nahi..
Zindgi wo subah bhi hai..jo hasi bhi nahi aur kabhi roi bhi nahii..
Zindgi to wo raat banke reh gai..
k jisme nazar ek pal k liye soi bhi nahi..
ya kaho ise wo mehfil.
.jisme mere siwa aur koi bhi nahi...
aur koi bhi nahi .......................

*************************************************

"Dil na lagana kisi se,dard hi paoge,
biti baato ko yaad karke,rote hi najar aaoge,
karni hai to sirf DOSTI karo,
HAmesha ummid se Dugna paoge"

******************************************

pakar pal do pal ki khushiyan umar bhar ki muskan gavan baithe
Hum to kisis ki chahat keliye apani hasrat bhula baithe
koi karena sikWa humse hum apna gum bhula baithe
duniya mein na samjhe hume koi
hum to apani pehchan mita baithe
ab dard se kya shikayat kare
hum jab khud hi ye zakham laga baithe...........................

**************************************************

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...


****************************************************

Kya bataayeiN is nacheez ne is zamaaNe ko diya kitNa hai,
hairaaN ho jaoge dekhke ki humNe gamon ko piya kitNa hai,
chhoti si umr me hi duniya ke,tamaaM pehluoN se waakif ho gaye,
aur log kehte haiN ki 'DePaK' ne abhi is zindagi ko jiya kitna hai........